Aaj

Azaad parinde hain

Kal ud jayenge

Jazbaat to bulbule hain

Kahan humko rok payenge

Guzarta khayal nahin hain

Muskurane ki wajah ban jayenge

Khanabadosh hain

Bas ehsason mein yaad aayenge

Khazane ki Talash

Dhoondne nikla hoon aaj mein daulat tamam, Mujhko khazane ki talaash hai
Humsafar mila to suqoon mila, magar mujho khazane ki talaash hai
Firdaus ki dahleez pe kadam ruk gaye, yakeenan mujhko khazane ki talaash hai
Khuda ke dar pe manzar, manzil sa tha, par mujhko to khazane ki talaash hai
Sagar-o-meena bhi na bujha saki, na jane kaise pyaas hai!
Bhataki rooh aaj bhi dhoondti hai, mujhko jis khazane ki talaash hai

Zindagi e Zindagi

Sunti Kahan hai yeh meri aajkal
Isko to lat lagi hai mujhe azmane ki
Khwabon ko bun raha Hoon
Kahin Nazar na lag jaye zamane ki
Thak sa gaya hoon chalte chalte
Milti nahi koyi wajah jee behlane ki
Ek khayi si ban gaya hai sanatta
Awaaz Kahan aati hai dard ke chilane ki
Ek bejaan si raah hai bas zindagi
Qadmon ke aane Jane ki

P

Politics penalizes the prosperity of pioneering startups and problems are presumed to be provoked by pawns, however, people at the pinnacle are preludes to these preposterous predicaments

M

Music masquerades over mundane muses and morphs them mystically, methodically and magically. - The Speaking Wood.

Life n Waves

The similarity between life and waves is that there are no ends, only transitions and memories of catching the waves!

F

Fake flamboyance, flanked by false fallacies fosters frustration that flaunts hate...while faith finders fight with flair to foster love.

Aur phir

Dabi cheekhon ke saayon mein chala chal e dil,
inhi se kal gulistan khilenge, chunenge gunche rahi,
tere kadmon ke nishaan jahan milenge.

The distance

Present is the past tense of tomorrow, this reality is the distance between joy and sorrow.

Mera Wajood


Khud pe yakeen tha aur nahi bhi
Ek apna aashiyan kaisa bhi kahin bhi
Doosron ki nazorin se dekha jo khud ko
Khud se Sharma gaya mera wajood

Naye sancho mein dhalte dhalte
Zindagi ki raah pe chalte chalte
Apni khamiyon ke saayein mein
Kahin kho gaya mera wajood

Na jane woh kaunsa mukaam hai
Sheher hogi jahan abhi sham hai
Apne haq ki khairaat mangte mangte
Kuch chhil gaya mera wajood

Khud pe yakeen leke chala tha mein
Takkar de kar har thokar ko badha tha mein
Kuch aise ranjish thi thokaron ko mujhse
Ki maar se badal gaya mera wajood

Dard kaisa jab raah mein doston ka saath ho
Taqat milegi dosti se chahe kaise bhi halaat ho
Dosti ke naye chehre ko dekh kar
Darr gaya mera wajood

Darwaza khula sa hai
Har shaksh apni marzi se aata hai jaata hai
Aake na jane walon ke intezaar mein
Dhul mein mil gaya mera wajood