Khazane ki Talash
Dhoondne
nikla hoon aaj mein daulat tamam, Mujhko khazane ki talaash hai
Humsafar mila
to suqoon mila, magar mujho khazane ki talaash hai
Firdaus ki
dahleez pe kadam ruk gaye, yakeenan mujhko khazane ki talaash hai
Khuda ke dar
pe manzar, manzil sa tha, par mujhko to khazane ki talaash hai
Sagar-o-meena
bhi na bujha saki, na jane kaise pyaas hai!
Bhataki rooh
aaj bhi dhoondti hai, mujhko jis khazane ki talaash hai
Zindagi e Zindagi
Sunti Kahan hai yeh meri aajkal
Isko to lat lagi hai mujhe azmane ki
Khwabon ko bun raha Hoon
Kahin Nazar na lag jaye zamane ki
Thak sa gaya hoon chalte chalte
Milti nahi koyi wajah jee behlane ki
Ek khayi si ban gaya hai sanatta
Awaaz Kahan aati hai dard ke chilane ki
Ek bejaan si raah hai bas zindagi
Qadmon ke aane Jane ki
Subscribe to:
Posts (Atom)