Khazane ki Talash

Dhoondne nikla hoon aaj mein daulat tamam, Mujhko khazane ki talaash hai
Humsafar mila to suqoon mila, magar mujho khazane ki talaash hai
Firdaus ki dahleez pe kadam ruk gaye, yakeenan mujhko khazane ki talaash hai
Khuda ke dar pe manzar, manzil sa tha, par mujhko to khazane ki talaash hai
Sagar-o-meena bhi na bujha saki, na jane kaise pyaas hai!
Bhataki rooh aaj bhi dhoondti hai, mujhko jis khazane ki talaash hai

Zindagi e Zindagi

Sunti Kahan hai yeh meri aajkal
Isko to lat lagi hai mujhe azmane ki
Khwabon ko bun raha Hoon
Kahin Nazar na lag jaye zamane ki
Thak sa gaya hoon chalte chalte
Milti nahi koyi wajah jee behlane ki
Ek khayi si ban gaya hai sanatta
Awaaz Kahan aati hai dard ke chilane ki
Ek bejaan si raah hai bas zindagi
Qadmon ke aane Jane ki

P

Politics penalizes the prosperity of pioneering startups and problems are presumed to be provoked by pawns, however, people at the pinnacle are preludes to these preposterous predicaments