Khud pe yakeen tha aur nahi bhi
Ek apna aashiyan kaisa bhi kahin bhi
Doosron ki nazorin se dekha jo khud ko
Khud se Sharma gaya mera wajood
Naye sancho mein dhalte dhalte
Zindagi ki raah pe chalte chalte
Apni khamiyon ke saayein mein
Kahin kho gaya mera wajood
Na jane woh kaunsa mukaam hai
Sheher hogi jahan abhi sham hai
Apne haq ki khairaat mangte mangte
Kuch chhil gaya mera wajood
Khud pe yakeen leke chala tha mein
Takkar de kar har thokar ko badha tha mein
Kuch aise ranjish thi thokaron ko mujhse
Ki maar se badal gaya mera wajood
Dard kaisa jab raah mein doston ka saath ho
Taqat milegi dosti se chahe kaise bhi halaat ho
Dosti ke naye chehre ko dekh kar
Darr gaya mera wajood
Darwaza khula sa hai
Har shaksh apni marzi se aata hai jaata hai
Aake na jane walon ke intezaar mein
Dhul mein mil gaya mera wajood